Friday, December 11, 2009

Garmi e Hasrt e Nakam say Jaalay hain

garmi-e-hasrat-e-nakam se jal jaate hain
hum charagon ki tarah shaam se jal jaate hain...

bach nikalte hain agar aatih-e-sayyad se hum
shola-e-aatish-e-gulfaam se jal jaate hain...

khudnumayi to nahi seeva-e-arbaab-e-wafa
jin ko jalna ho vo aaraam se jal jaate hain....

shama jis aag mein jalti hai numaish ke liye
hum usi aag mein gumnaam jal jaate hain...

jab bhi aata hai mera naam tere naam ke saath
jaane kyon log mere naam se jal jaate hain.....

rabta-baham pe humein kya na kahenge dushman
aashna jab tere paigham se jal jaate hain....

____________________________________________

Posted By Adim H@$$@N

No comments: