Friday, November 5, 2010

Collectionof Poetry

meri ZIndagi to faraq hai .....
meri zindagi to faraq hai wo azal se dil mein makeeN sahi
wo nigah e shooq se door hain, rag e jaaN se lakh qareeN sahi

humheiN jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo kaheeN sahi
humheiN aap khinchiye daar per jo nahi koi to humheiN sahi

sir e Tor ho, sir e hashr ho, humhieN intezar qabool hai
wo kabhi milein wo kaheen milein,wo kabhi sahi wo kaheen sahi

na ho un per jo mera bus to nahi,ke ye aashiqi hai hawis nahi
mien un he ka tha, mein unhien ka hon, wo mere nahi to nahi sahi

jo ho faisla wo sunaiye, isse hashar pe na uthaiye
jo karien Ge aap sitm wahan wo abhi sahi wo yaheen sahi

usse dekhnay ki jo loh lagi to Naseer dekh he leinge hum
wo hazaar ankh se door ho wo hazaar parda nasheeN sahi

Aurat
harf maasoom the, mahkoom the, mahsoor bhi the
lafz masloob hue haunToN pe aa ke tere
tu ke aisaar thi, jhhankaar thi, mahkaarh bhi thi
muddatoN jahal ke tareek shabastaanoN meN
zinda dargor hui aur jalaayi bhi gayi
tu ke har roop meN hi be-bas-o-majboor rahi
phir bhi tahseen ke laayeq hai tera azm-e-jawaaN!
tu ne jaNgeN bhi laRhiN, jaam-e-shaadat bhi piya
tu ne khuTbe bhi diye shaam ke baazaaroN meN
tu ne fitrat ko badal daala tha deeN ki khaatir
teri hasti hai zamaane ke liye masha-e-raah
tere qadmoN ke tale jannat-e-firdos bhi hai
zindagi tere liye azmat-e-meraaj bhi hai

aankhn men noor to randoN meN haya baaqi hai
tiira zahanoN ke liye teri jala baaqi hai
tujh se qaayem hai zamaane meN muhabbat ka chalan
dast-e-qaatil bhi tere saamne larzaaN larzaaN
tu ne maznil ko taraasha hai jawaaN himmat se
daT gayi rah meN hamesha to chiTaanoN ki tarah
tera har roop wafaa, issat-o-namoos baqaa

phir bhi har daur meN mardoN ki ataayat ki hai
tu ne iss tarah bhi duniya meN ibaadat ki haiA



khawab saray khayal saray
khawab saray khayal saray
haqeeqatoonka libada odhay
tumhari hasti sanwar jain

chand suraj yeh saray tarae
charag jitnay b jal rahay hain
tumharay chehray k rang daikhain to haar jain

behti nadia charhta darya
yeh gehra sagar jheel jharay yeh aabsharain
apna jeewan tumhari aankhon p war jain

rang khushboo ghulab saray
muhabatoon k nisab saray
sb tumhari blain lay lain
tumhari nazar utar jain



Kujh shauk hai yar faqiri da
kujh shauk hai yar faqiri da
kuj ishq nay dar dar rool dita
kuj sajna hajat nahi chori
kuj zehr raqeeban ghool dita
kuj hijar firaq da rang charhaya
kuj dard mahi anmol dita
kuj sar gaye qismat badqismat di
kuj pyar wich judai rol dita

siraiki ghazal by waris shah



khona

Rahon ki Mushkalaat main khotay tu gum na tha
Rona tu is ka hay k sir-e-manzil bhatak gay
Posted by Silent Eyez at 3:53 AM 0 comments
Thamay hain ujalay bari bay basi k sath
Palkon Pay Nami Hay To Kia Meri Hansi Kay Saath
Mera Hosla To Daikh Meri Bebasi Kay Saath

Thehray Jo Rat-Jagay Hain Meri Aankhon Main
Teri Inaayat Hain Qabool Hain Khushi Kay Saath

Chhuraa Kay Daman Ye Kehna Kay Janntay Hi Nahi
Kia Khoob Tamasha Hay Meri Saadagi Kay Saath

Zakham-e-Dil O Dagh-e-Jigar Jo Teri Inaayat Hain
Rahaingay Hamsafar Meray Meri Zindagi Kay Saath

Shab Ki Tareekiyon Main Kar Kay Mera Tassawwur
Karain gay Aehd-e-Wafa Woh Phir Kisi Kay Saath

Rastay Pukaartay Hain Mujhay Maazi Say Haal Main
Thaamee Hain Ungliyaan Bari Be-Dili Kay Saath


Muhabbat Jeet hoti hai
Mohabbat jeet hoti hai,

Magr ye haar jati hai,


Kabi dilsoz lamhon se,

Kabi bekar rasmon se,


Kabi taqdeer walon se,

Kabi majbur qasmon se,


Magr ye haar jati hai,


Kabi ye phool jaisi hai,

Kabi ye chand jaisi hai,


Kabi ye dhoop jaisi hai,

Kabi khush karti hai,


Kabi ye rog daiti hai,


Kisi ka chain laiti hai,

Kisi ko rula daiti hai,


Kabi ye paar le jati hai,

Kabi ye maar jati hai,


"Mohabbat" jeet hoti hai,

Magr ye haar jati hai


Muhabbat

Tumhain shayad yeh lagta hai
MOHABBAT khubsurat hai
Tumhara ghar sanwary gi
Tumhain yunhi nikharay gi,
Tumhain apna bana lay gi
Tumhain shayad yeh lagta hai
MOHABBAT RAB ki surat hai
Tumhain dukh say nikalay gi
Tumhare dard samjhey gi
Tumhare gham sambhaly gi
Mujhe maloom hai itna
MOHABBAT shab ki surat hai
Ujalo ko ye kha lay gi
Tumhain tum se chura lay gi
Tumhain pagal bana de gi
MOHABBAT maar deti hai
MOHABBAT maar dale gi


Mera soochna

Mera soochna teri zaat tk....
Meri guftago teri baat tk ....
Na tu milay jo kabhi mjy .....
Mera Dhoondna tujhay paar tk...
Main nay apna sb kuch ganwa dia .....
Teri nafratoon say pyar tk....
Kabhi fursatain jo milain to aaa....
Meri zindagi k hisaar tk...
Main nay jana kya main kuch nahi .....
Taray pehlay say taray bad tk ....


Chal bandeya
Chul bandeya fer othay turiye jithay sur, sangeet tay taal
jithay tu hovay' tera rub hovay' tay hovan taray khayaal


Aseer-e-dasht-e-wafa

Aseer-e-dasht-e-wafa ka na majra kehna
tamam poochnay walon ko bs dua kehna
yeh kehna k raat guzarti hai ab b aankhon main
tmhari yaad ka qaim hai silsila kehna
yeh kehna k chand nikalta hai baam pr ab b
mgr nahi wo shab ka ab maza kehna
Yeh kehna k hum nay hi toofan main daal di kashti
kasoor apna hai darya ko kya bura kehna
yeh kehna k tm say bichar k bikhar gaya Shakir
k jaisay haath say gir jayay AAINA kehna




usay kehna

Usay kehna gilay unhi say hotay hain
jo DIL k pass hotay hain
shikayat un say hoti hai
jo bay had KHAS hotay hain
mera tujh say gila karna
tmhain unhi rula daina
KHAFA karna
Teri Taeed k badlay JAFA karna
yeh ULFAT ki alamat hai
isay JAFA na smjhna
MUHABBAT main kabhi hargiz
isay DIL pr nahi laina
usay kehna MUHABBAT ki tawaqu un say hoti hai
k jin sya YAAS hotay hain
gilay unhi say hotay hain
Jo DIL k pass hotay hain



chehray parhta aankhain likhta rehta hon

chehray parhta, aankhein likhta rahta hoon
mein bhi kaisi baatein likhta rahta hoon

saaray jism darakhton jaisay lagtay hein
aur baanhon ko shaakhein likhta rahta hoon

tujhko khat likhnay ke tewar bhool gaye
aarri tirchi satrein likhta rahta hoon

tere hijer mein aur mujhe kya karna hai?
tere naam kitaabein likhta rahta hoon

teri zulf ke saye dhayan mein rahtay hein
mein subhon ko shaamein likhta rahta hoon

apnay pyaar ki phool mahakti raahon mein
logon ko deewaarein likhta rahta hoon

tujh se mil ke saray dukh duhrayon ga
hijer ki saari baatein likhta rahta hoon

sookhay phool, kitaabein, zakhm judai ke
teri sab soghaatein likhta rahta hoon

us ki bheegi palkein hansti rahti hein
'Mohsin' jab tak ghazlein likhta rahta hoon


Suno!!
Suno logo Meri Aankhain khareedo gay???
Mjy ik khawab ka tawan bharna hai......

Posted By Admin H@$$@N